Saturday, May 14, 2011

no more action play

”NO MORE ACTION REPLAY”




“JAAN PAR KHEL JAENGE,MANDIR WAHI BANAYANGE”


Ye panktiya hai kuch ek netao ki jinhone kuch samay pehle in panktio se desh me charo or aag laga di thi.Pure desh me asthirta ka maahol taiyar ho gaya tha.Ekta or loktantra ka paryay mane jane wala akhand bharatvarsh achanak khand-khand ho gaya tha.Charo or sirf dharm or sampradayikta ki aag thi.Lekin isi aag me kuch rajnaitik partiya apni rotiya sek rahe the,unhe shayed is baat se koi sarokaar nahi tha ki is aag me kitne hindu bandhu or kitne muslim bhaiyo ke parivaar jal chuke the or kitne pal rahe the.Ek party to is mudde ko bhunane me itna safal rahi ki use satta ka such bhi prapt hua……..lekin ab nahi ,bas ab or nahi……………..


60 varsh baad ayodhya ke mandir – masjid vivaad ka aitihasik faisla aya.Sabhi ko ,sarkaar se lekar aam janta ko bhi kahi na kahi ye dart ha ki faisle ke baad sampradayik dange
Bhadak sakte hai.Jesa kid harm ke naam par pehle se hota aya hai.Parantu is baar aisa kuch nahi hua.Faisle k pehle or baad charo or shanti or sadbhavna faili hui hai.Ye shanty or sadbhavna yeh sanket deti hai ya yu kahe ki sabit karti hai ki ab hum dharm k naam par nahi ladenge.Ab waqt badal chukka hai or waqt ke sath badal chuki hai hamari soch, hamare vichaar or hamara uddeshya.
Ek baar fir hum yeh sabit karne me safal rahe hai ki “BHARAT EK AKHAND DESH HAI” or shayed yahi samay hai ki hum sabhi netao or unki raajnaitik partiyo ko bata de ki ab dharm ki
Raajneeti nahi chalegi.Yahi upyukt samay hai ki hum raajneetigyo ko do took jawab de ki desh sabse upar hai,Yadi unhe desh par shaasan karma hai to desh ke vikaas ki baat karni hogi.Unhe kisi mandir or masjid ko banane ki baat nahi balki aam admi ke liye GHAR banana ki baat karni hogi.Kattar hindu ya musalmaan nahi ek achcha insaan banne ki baat karni hogi. In sabhi netao ko yeh batana hoga ki ab hame sirf somnath se ayodhya tak kisi rathyatra ki nahi balki pashchim bangol tak, kaashmir se kanyakumari tak sirf vikaas ki leher chahiye, jisme desh ke har varg or jaati ki bhoomika sunishchit ho………
Khair is sandarbh me kafi parivartan bhi aya hai . Kai badi partiya or unke neta jo lagbhag 18 varsh pehle ye kehte the ki koi bhi kaanuni prakriya hame waha mandir banana se nahi rok sakti,vartmaan samay me wok eh rahe hai ki hum adalat ke faisle ka swaagat or sammaan karenge.Yahi nahi faisla aane ke pehle or baad bhi lagbhag sabhi netao ko ek sur me yahi kehte hue dekha gaya ki’HUM DHARMIK SAHISHNUTA BANAYE RAKHENGE’ .Parantu in raajnetao ki baato me vishwaas karma thoda kathin hai kyonki inka hamesha se hi ek ajenda raha hai ki”KAAM KI FIKRA KARO,FIKRA KA JIKRA KARO,PAR KAAM MAT KARO” . Khair job hi ho lekin yeh baat to shat-pratishat satya hai ki in raajnetao ki soch me bhi thoda bahut parivartan aya hai.

Hum sabhi ko is baat ki khushi honi chahiye ki 63 varsh ka hamara aajad bhaarat is samay aoni puri jawani par hai.Desh me 60% jansankhya yuvao ki hai jo ki vishva ke kisi bhi desh se sarvadhik hai.Arthaat kahi na kahi hum yeh bhi maan sakte hai ki anew ala samay bhaarat ka hoga or bhaarat vishva me ek mahashakti banker ubhrega, basharte hamare yuvao ko sahi disha me karya karma hoga.Yu to yuvao ko bahut bade karya karne hai, bahut bade parivartan lane hai. Parantu sabse pehle unhe desh ki raajneeti ko yeh batana hoga kid harm ke naam par desh ke saath khilvaad nahi bardasht kiya jayega.Parantu yeh baat sirf ek-do ya teen-chaar yuvao ki aawaj se nahi balki sabhi yuvao ki ek sangathit aawaj se kahi jaani chahiye ki “DESH SABSE UPAR HAI”.
Desh hamare sharer me sir (mastak) ki bhanti hai,jisko hum kabhi jhukne nahi denge.Ayodhya ke mandir –masjid ke 60 varsh ke vivaad me pure maamle ke pehle gawwah rahe hashim ansaari ne ek bahut achchi baat kahi ki”JAB SIR HI NAHI RAHEGA ,TO SAJDA KESE KARENGE”.Yeh to samajh gaye ki desh sabhi dharmo se upar hai,ab aap bhi samajh jayiye or sampurna vishva ko sandesh de dijiye ki :-“BHAARAT EK HAI”.


There is some musical bhakti for my India………….












Hum hai bharat ke waasi,humse bani bhartiyata
Sab kuch chor kar dete hum,pehle desh ko variyata
Hindu nahi,muslim nahi,na sikh na isaai
Ishwar to sabka ek hai,hum sab hai bhai-bhai
Rajneeti ne yaha dharm ki diwar hai banai
Par hum me abhi bhi hai deshbhakti samai
Na hi mandir,na hi masjid,hai khuda ka makaan
Ye hai humare andar,isse hum nahi anjaan
Jo hai bediya banate,dharm ki or jaati ki
Har jagah pakhand failate,annyay kureeti ki
Unko denge jala,hum hai lapte aise aag ki
Mita denge unhe kaliya todi jisne es bag ki
Har dua me kar rahe hai,hum yahi fariyaad
Desh apna rahe hamesha,mushkilo se aajad
Hum me hai wo taakat,jo badalti desh ki takdeer
Humse hindusta jawa, hai hum bharat ke veer
Ekta me hum bandhe hai,tod ke har janjeer
Hum bhi jante hai ye,jo hai ram wahi hai raheem…………
"MANN"............

No comments:

Post a Comment