Saturday, May 14, 2011

king khan ya king tom

“KING KHAN YA KING TOM”


Tom & jerry ka naam to ap logo ne suna hi hoga, mera favourite cartoon show hai. Ap sochenge ki 21 saal ka ye ghoda bachhon ke cartoon tom n jerry ki baat kyun kar raha hai?????? Ji asal me baat kuch aisi hai ki in dino mujhe tom n jerry jaise character asal jindgi me nazar a rhe hai.
Tom n jerry me tom jo ki jerry ki upeksha bada, jyda takatvaar, par hmesa jerry ki chalon me faskar muh ki khane wala. Badi hasti or jyda takat hone ke bavjood bhi Jerry, tom ko hmesa bauna sabit kr deta hai.
SHARUKH KHAN, bollywood ka betaj badshah, ek bada naam, badi hasti, ek bhut badi or shandaar shakhsiyat ke malik or film jagat ke KING KHAN. SHAHRUKH sirf apni sundar shakl-surat ke liye hi nahi balki apni sundar seerat ke liye bhi mashooor hai . ek ache insaan ki tarah unhone hmesa hindu ya muslim dharm ko nahi balki MANAV DHARMA ko apnaya hai.
SHAHRUKH… ek aisa naam jiske ghar ‘MANNAT’ me NAMAZ ki duaa or “OM SHANTI OM” ki prathna logo ke “DIL SE” nikalti rehti hai..ID ki siwaiyaan to mano DEWALI ke deepo se pakti hai, shahrukh…. ek aisa kalakaar jisne kabhi UP-BIHARIYON ya MUMBAIKAR me koi antar nahi kia. Use desh ke har hisse se pyar mila bhi or usne sbko pyar kia bhi …..
BAL THACKERY ek or bada naam par SHAHRUKH jaisa bada………. shayad nahi, ek aise sangthan ka mukhia jo KATTAR HiNDU mana jata hai,……..
BAL THACKERY ek aisa vyakti jo shayad MUMBAI or MARATHI ke age kuch soch samajh hi nahi sakta…. Ek aisa kattar rajnitigya jo UP or BIHAR ke logo ko bhukha nanga or chor samajhta hai……. Ek aisa neta jo hindustaan ki maati me janam to leta hai par wahan ki matrabhasha ko apnane se katrata hai…. Ek aisa badnaam DABANG jo apne niyam-kanoon khud banata hai……. BAL THACKERY ek bhudha sher jo sampradaikta or kshetriyata ki bimari se grasit hai jiske prashanshak shayd sirf Mumbai me ho par alochak desh ke har kone me hai..
Aj se lagbhag 8-9 mahine pehle SHAHRUKH ki “MY NAME IS KHAN” release hone wali thi . film release ke pehle Mumbai me iska jordar virodh hua tha, shiv sena ne SHAHRUKH ke virodh me film ke poster fade or multiplex ke maliko ko dhamkaya bhi tha. Darasal shahrukh ne keh dia tha ki “MUMBAI SABKI HAI” jisse BAL THACKERY or unki sena SHIV SENA bhadak uthi thi. Us samay SHAHRUKH ne bhi bade “JOSH” ke sath talkh tewar apnaye or kaha tha ki unhone kuch bhii galat nahi kaha…….. us samay pure desh se SHAHRUKH ko sath or shakti prapt hui thi, SHIV SENA ke virodh ke bavjood MY NAME IS KHAN Mumbai sahit sampurna desh me hit hui thi.
Abhi 2-3 din pehle “SAMNA” jo ki shiv sena ka mukhpatra hai , me thackery ne shahrukh ki jamkar alochna ki….. darasal aisi khabar thi ki sharukh ek aise charity show me shirkat krne jar he hai jo baadh piditon ke liye paise ekattha karegi , king KHAN se aisi ummed thi ki wo aisi baton par dhyan nahi denge or is nek kaam me apni bhumika jaroor ada karenge par………………… is bar kahani me twist a gaya… TOM (shahrukh) ruk gaya…. Or JERRY (BAL THACKERY) se haar gaya, bollywood ke betaj BADSAH ne THACKERY ko“YES BOSS” keh dia jld hi media me khabre ai ki KING KHAN aisi kisi show me nahi ja rahe .. yahan tak ki shahrukh ke office se official information media ko di gai ki BADSHAH wahan shirkat nahi karenge.
Waise to DON ko 11 mulko ki police dhundh rahi hai par DON ko pakadna muskil hi nahi namumkin hai par shahrukh ke is faisle ke bad ye jaroor mehsus ho raha hai ki DON ko pakadna bhale hi mushkil ho par darana bhut asaan hai.
SHAHRUKH jaisi badi hasti agar THACKREY ke samne jhuk jayaenge to ek mango man galat logo ke samne kaise awaz uthaiga?????
Tom & jerry mera favourite hai, use dekhkar khushi hoti hai par asal jindgi me is TOM (shahrukh) ko JERRY (BAL THACKERY) se harte hue, jhukte hue dekhkar dukh hota hai .
Reel life ka KING KHAN jb Real life me TOM ban jaye to…………. To bas karo bhaiya ab kuch likha or kaha na jaye……. Phir milenge “BREAK KE BAAD” ………. Movie bokas hai…mat jaiyo…..
(MANN)

gandhi

“GANDHI”


Hi……
Namaskar Bhai…loogggg……..
Abhi aap logo ne apun ka Ayodhya wala boaring article jhela uske liye thanks……
Par is baar apun kuchh hatke karne ko socha aur…ye lo janab a gaya apun aap logo ke samne Munna Bhai Style mein, apna ek aur article leker, Ummid hai pasand ayegea . Khair abhi aap sochenge k Munna Bhai stlyle hi kyun, ……… wo kya hai na beedu ki abhi 2 tareekh ko wo apne bapu ka Birthday tha to bhai Bapu ko yaad karna to mangta hai na….. bole to Shraddhanjali bosssss... Is bar Bapu k B’day pr apun ne ek bar phir ‘Lage Raho Munna Bhai dekh dali….
Prrr is bar ye movie dekhkar apun k bheje me ek idea roar aur shor dono karne laga k kyun na apun bhi Munna Bhai bannn jaye….. shayad apun ko bhi apna wo Bapu nazar aa jaye….. Khair Bapu ko B’day aur aap logo ko holiday ka bahut-bahut belated badhai…..
Achha to abhi apun is celebration se culti marta hai aur sidha topic pe aata hai…………
To bahi 100 take ki baat ye hai k, ye jo apna dusra Gandhi hai na……..are mamu bole to Rahul Gandhi , wo thoda sa bahak gayela hai.Waise to apna ye Yuvraj Rajneeti k tu-tu, mai-mai mein me kabhi pada nahi, par wo kya hai na mamu k abhi 2-3 roj pehle apna ye Yuvraj akkha public k samne bol dala ki R.S.S.(Rashtriya Swwayam Sewak Sangha) aur SIMI(Student Islamic Movement of India) barobar hai aur dono dharmik kattar hai. Phir kya tha mamu bawaal to hona hi tha. R.S.S. ke sare sane log apne Yuvraj par baton se hamla karne lage. are bhai baton ka kya hai ye to apne desh me hota hi rahta hai k sabko ek dusre ki taang khichne ka hi laga rahta hai, Lekin mamu ye apne Rahul bhai ki personality ko suit nahi karta aur waise bhi mamu is desh me 50 tole ki baat ko, bole to sach baat ko digest kaun kar pata hai re…., mai to Rahul bhai ko yahi kehna chahunga k tu in mamu log ke chakkar me kahe ko padta hai reeeee……. Tere me aur in safed dadhi-baal walo me bada difference hai reeeeeee..Ye mamu log ek bar kaam karke usko puri jindgibhar ginata rehta hai, par tu to aisa nahi hai na, Tu to karm me vishvas karta hai na, to chupchap apne kaam par dhyan lagane ka phir uske baad dekhna in sane logo ko jawab dene ka kam to ‘samjho ho hi gaya…….’
Lekin bhai log apun ko ek baat bolne ka hai apse, abki first time apna Yuvraj bhi galat bol gaya. Apun ye to manta hai k R.S.S. dharmic aur kattarwadi hai lekin usko SIMI ke sath compare karna sahi nahi hai reeeee. Apun ye bhi manta hai ke ye log (RSS & BJP) bhi apne Yuvraj ko kabhi Baccha, kabhi Immature to kabhi kam Bheje wala bol dalte hai, Par apne Rahul bhai ko tension nahi lena chahiye. Are ye sab darte hai apne Yuvraj se, Bechare bimar hai na mamu…….. tabhi to kabhi ‘Afjal Guru’ ko Congress ka ‘Damad’ to kabhi ‘Mulayam’ aur ‘Lalu’ ko ‘Kutta’ bolte hai, Isiliye Yuvraj ko in sab logo ke muuh nahi lagna chahiye. Inko to buss Gandhi style me hi samjhana chahiye. Kaun sa Gandhi style???????????????????
Are wooooooo Happy Singh ki tarah Phool bhejne ka aur Get Well Soon bolne wala tarika nahi reeeeeee………. Logo k liye kam karne ka aur unka dil jeet lene wala style, bole to aam admi ka hath thamkarrrrrrrrrr.
Khair abhi apun politics k deep me nahi jata hai aur aap logo ko pakana band karta hai, kyunki apun idhar ka ‘Robinhood Pandey’ to hai nahi jo ek bar commitment kar de to ‘apne aap ki bhi nahi sunta’. Are haan sunne se yaad aya aap logo ne “ANJANA ANJANI” ka ‘Tu Na Jane Aas-Paas Hai Khuda’ suna kya, nahi suna to sun le re mamu, kyunki gana Hit hai Bossssssssssss.
Chalo abhi sab bhai log saath milkar bolo……….
“…………BAAPU KI JAI…………”
MANISH (MANN)

no more action play

”NO MORE ACTION REPLAY”




“JAAN PAR KHEL JAENGE,MANDIR WAHI BANAYANGE”


Ye panktiya hai kuch ek netao ki jinhone kuch samay pehle in panktio se desh me charo or aag laga di thi.Pure desh me asthirta ka maahol taiyar ho gaya tha.Ekta or loktantra ka paryay mane jane wala akhand bharatvarsh achanak khand-khand ho gaya tha.Charo or sirf dharm or sampradayikta ki aag thi.Lekin isi aag me kuch rajnaitik partiya apni rotiya sek rahe the,unhe shayed is baat se koi sarokaar nahi tha ki is aag me kitne hindu bandhu or kitne muslim bhaiyo ke parivaar jal chuke the or kitne pal rahe the.Ek party to is mudde ko bhunane me itna safal rahi ki use satta ka such bhi prapt hua……..lekin ab nahi ,bas ab or nahi……………..


60 varsh baad ayodhya ke mandir – masjid vivaad ka aitihasik faisla aya.Sabhi ko ,sarkaar se lekar aam janta ko bhi kahi na kahi ye dart ha ki faisle ke baad sampradayik dange
Bhadak sakte hai.Jesa kid harm ke naam par pehle se hota aya hai.Parantu is baar aisa kuch nahi hua.Faisle k pehle or baad charo or shanti or sadbhavna faili hui hai.Ye shanty or sadbhavna yeh sanket deti hai ya yu kahe ki sabit karti hai ki ab hum dharm k naam par nahi ladenge.Ab waqt badal chukka hai or waqt ke sath badal chuki hai hamari soch, hamare vichaar or hamara uddeshya.
Ek baar fir hum yeh sabit karne me safal rahe hai ki “BHARAT EK AKHAND DESH HAI” or shayed yahi samay hai ki hum sabhi netao or unki raajnaitik partiyo ko bata de ki ab dharm ki
Raajneeti nahi chalegi.Yahi upyukt samay hai ki hum raajneetigyo ko do took jawab de ki desh sabse upar hai,Yadi unhe desh par shaasan karma hai to desh ke vikaas ki baat karni hogi.Unhe kisi mandir or masjid ko banane ki baat nahi balki aam admi ke liye GHAR banana ki baat karni hogi.Kattar hindu ya musalmaan nahi ek achcha insaan banne ki baat karni hogi. In sabhi netao ko yeh batana hoga ki ab hame sirf somnath se ayodhya tak kisi rathyatra ki nahi balki pashchim bangol tak, kaashmir se kanyakumari tak sirf vikaas ki leher chahiye, jisme desh ke har varg or jaati ki bhoomika sunishchit ho………
Khair is sandarbh me kafi parivartan bhi aya hai . Kai badi partiya or unke neta jo lagbhag 18 varsh pehle ye kehte the ki koi bhi kaanuni prakriya hame waha mandir banana se nahi rok sakti,vartmaan samay me wok eh rahe hai ki hum adalat ke faisle ka swaagat or sammaan karenge.Yahi nahi faisla aane ke pehle or baad bhi lagbhag sabhi netao ko ek sur me yahi kehte hue dekha gaya ki’HUM DHARMIK SAHISHNUTA BANAYE RAKHENGE’ .Parantu in raajnetao ki baato me vishwaas karma thoda kathin hai kyonki inka hamesha se hi ek ajenda raha hai ki”KAAM KI FIKRA KARO,FIKRA KA JIKRA KARO,PAR KAAM MAT KARO” . Khair job hi ho lekin yeh baat to shat-pratishat satya hai ki in raajnetao ki soch me bhi thoda bahut parivartan aya hai.

Hum sabhi ko is baat ki khushi honi chahiye ki 63 varsh ka hamara aajad bhaarat is samay aoni puri jawani par hai.Desh me 60% jansankhya yuvao ki hai jo ki vishva ke kisi bhi desh se sarvadhik hai.Arthaat kahi na kahi hum yeh bhi maan sakte hai ki anew ala samay bhaarat ka hoga or bhaarat vishva me ek mahashakti banker ubhrega, basharte hamare yuvao ko sahi disha me karya karma hoga.Yu to yuvao ko bahut bade karya karne hai, bahut bade parivartan lane hai. Parantu sabse pehle unhe desh ki raajneeti ko yeh batana hoga kid harm ke naam par desh ke saath khilvaad nahi bardasht kiya jayega.Parantu yeh baat sirf ek-do ya teen-chaar yuvao ki aawaj se nahi balki sabhi yuvao ki ek sangathit aawaj se kahi jaani chahiye ki “DESH SABSE UPAR HAI”.
Desh hamare sharer me sir (mastak) ki bhanti hai,jisko hum kabhi jhukne nahi denge.Ayodhya ke mandir –masjid ke 60 varsh ke vivaad me pure maamle ke pehle gawwah rahe hashim ansaari ne ek bahut achchi baat kahi ki”JAB SIR HI NAHI RAHEGA ,TO SAJDA KESE KARENGE”.Yeh to samajh gaye ki desh sabhi dharmo se upar hai,ab aap bhi samajh jayiye or sampurna vishva ko sandesh de dijiye ki :-“BHAARAT EK HAI”.


There is some musical bhakti for my India………….












Hum hai bharat ke waasi,humse bani bhartiyata
Sab kuch chor kar dete hum,pehle desh ko variyata
Hindu nahi,muslim nahi,na sikh na isaai
Ishwar to sabka ek hai,hum sab hai bhai-bhai
Rajneeti ne yaha dharm ki diwar hai banai
Par hum me abhi bhi hai deshbhakti samai
Na hi mandir,na hi masjid,hai khuda ka makaan
Ye hai humare andar,isse hum nahi anjaan
Jo hai bediya banate,dharm ki or jaati ki
Har jagah pakhand failate,annyay kureeti ki
Unko denge jala,hum hai lapte aise aag ki
Mita denge unhe kaliya todi jisne es bag ki
Har dua me kar rahe hai,hum yahi fariyaad
Desh apna rahe hamesha,mushkilo se aajad
Hum me hai wo taakat,jo badalti desh ki takdeer
Humse hindusta jawa, hai hum bharat ke veer
Ekta me hum bandhe hai,tod ke har janjeer
Hum bhi jante hai ye,jo hai ram wahi hai raheem…………
"MANN"............

dhundh raha hun....

Uljha rehta hunbs uljhanon me kahin ,
in uljhanon ka hal dhundh raha hun.
tik-tik karti waqt ki suiyon me ,
sukun ke do pal dhundh raha hun.
wo akhbaar wo kitab wo news channel ka shor ,
is shor me mai apna sham-o-sehar dhundh raha hun.
mummi ki ummeden papa ki dant ,
jo samjhe hmko bhi wo noor-e-nazar dhundh rha hun.
mandir ke ghante masjid ki nmaz ,
asar kar jai jo hum par wo dua dhundh raha hun.
hmesa chlta rha hun akela ,
jo hanth tham sath chale wo humsafar dhundh raha hun.
na jane hoga kb ye sb kuch hasil hme ,
isi zindgi me bs zindgi dhundh raha hun.

Tuesday, April 19, 2011

VYATHA
hota hai kbhi kbhi ehsaas ye, ho gya kuch galat shayd ….
jo nahi hai mumkin hmare lie , wo ban gaya ab jindgi ka hissa sayd....
the pehle jo hausle buland, wo tutne lage hai ab sayd….…
thi raushan jo hmesa lawu ummedon ki, wo lawu bhujhne lagi hai ab sayd ….
wo vishwas ki deewar wo jeeet lene ka jajba.. wo duniya ko hara dene ki taqk, wo sbse aga nikal jane ki chahat…ab is taqk is chaht me aur in deewaron me pad rahi hai ab darar sayd….
ye kaise ansu hai jo ankhon me to hai par palkon par utarte nahi hai,
pta hai inhe bhi sayd ki MANN kamjor hai pr dikhana chaahta nahi hai…
kya kahe kaise kahe kisse kahe kuch samazh me ata nahi hai, aur jb dheeme se koi kuch kehta bhi hai to sayd koi apna suntan nhi hai..
ye jaan bhi saali ajib hai jo tadapti to hai par nikalti nahi hai..
“ANNA ANDOLAN AUR HAZMA”
kuch din pehle desh me ek andhi ai thi…. Gandhi ki andhi… Gandhi part 2 ki andhi.. ab ap log Gandhi part 2 ka mtlb to samazh hi gai honge …. Gandhi part 2 ka mtlb ANNA HZARE.. BABURAO HZARE alias ANNA HZARE ki is andhi me badi-badi partiyon or khalifaon ke sadiyon purane burj bhi hil gai..
73 saal ke is Gandhi ne jb apni muhim shuru ki to unke sath pura desh umad pada aur har koi apne-apne figure or muscle ke anusar unhe support krne a gai. ye Gandhi bapu desh me faile bhrashtachar ke khilaf muhim chala rahe hai aur apne fire brand jan lokpaal bil ke lie smite bnwane ke lie amaran ansan kr rhe the…ab bapu ji to k nek kaam me lage hai… par unki is muhim ne kai bade-bade netaon ka pet kharab kar diya….. in bechron ko kabj ho gai..lajmi bhi hai .. bhai akhir hmare is mhan desh ke pujniye neta jo swyam me VRITTASUR, MAHISHASUR AUR aradhya sri RAVAN ke swroop hai, ke prati bhala koi aisi bat kaise keh skta hai ki sabhi neta bhrasht hai, bhrast netaon ko fansi de deni chahiye.. par huzur kya kare hmare SUPERMEN ANNA HZARE ji ne ye baat keh daali.
ab bhala desh ke brand ambessdor in safedposhon ko ye baat kaise hzam hoti… so bechare ye maharathi jinke naam corrupt book of world record me darj hai aur jo sadiyon se desh ke system ko bigadne ke utkrasht karya kar rahe hai…. ka pachan system anna ji ki baat sunkar jara bihad gaya hai..
To aaiye jara roshni dalte Hi in maharathiyon ke gam-e-halat par –
To huzur sbse pehle baat krte hai hmare desh ke vartmaan dursanchar mantri aur congress ke SPIDERMAN type neta KAPIL SIBBAL ki… jan lokpal bill ke liye smiti Gathit hone se inhe bhyanak kabj ho gai. inhone apni kuntha ko chipane ki bhut kosis ki, par kya kare, frustration ki dkaren baar-baar inhe pareshan kar rahi thi.. to huzur ne aakhirkar ulti kar hi di aur ek smmelan me bol hi dala ki “ is jan lokpal bill se koi fayda nahi hoga. yeh lokpaal bill logon ki avshyaktaon aur jan suvidhhhaon ko pura kaise karega??” huzur ne ulti to bhut badi ki thi, par mai sankchep me hi bta rha hu.. aur ha jara ek or bat par gaur farmaiyega ki ye whi sibbal ji hai jinhone lokpaal ke lie smiti gathit hone par ye kaha tha ki “ ye loktantra ki jeet hai, mai anna ji ko bhut-bhut badhai deta hun”aur to aur sibbal ji us smiti ke sdashya bhi hai . bechare sibbal ji…. jb kewal smiti banne par hi huzur ne itni lambi ulti ki to jb bhala smiti me baithenge tb apne hazme par kaise control karenge??? huzur jara samhal ke agar whan kar di to bhut fajihat ho jaigi.
ab bari hmare sbse varisth khalnayk.. maaf kijiyega mera mtlb nayak, hmare bhavi pm LAL KRISHNA ADVANI ki. darasal hichkiyan to huzur ko andolan ke shuru se hi a rahi thi par huzur ka manwa tab out of control ho gaya jb andolankarion ne JANTAR MANTAR ko inki chaheti sishya UMA BHARTI ke lie no flying zone ghosit kar dia. ab bhala huzur se ye kaise bardast hota.. or akhirkar inhone bhi twiter par kulla kar hi dia or keh dala ki “ anna ji ki muhim jto achhi hai, par unhe sabhi netaon ko bhrasht nahi kehna chahiye” are are are anna jib hi had karte hai hmare 84 varsh ke jwan waiting pm ka dil dukha dia….
ab le chalet hai apko ek aur congressi dev ke paas SRI ATI CONTROVERSIAL DIGVIJY SINGH . ek to ye bechre apni party ke satta me hone ke bavjood khud satta ka hissa na hone se barglaye hue hai, upar se anna ji ne yeh keh dia ki” sabhi neta bhrast hai”, bechare she nahi paye… ye baat sunkar to mano huzur ki ankhon me tange high voltage chasm eke seese hi chatak gai ho.. tabhi huzur ko iske bad anna ji ki muhim footi ankhon nahi suhai.. aur ek chaitanya baniye ki tarah bharatpur ke is thakur ne puch hi lia anna ji se ki “ btaye itne bade andolan ke lie paisa kahan se aya??” ab bhala btaiye jb DIGGI ji ki sarkaar aj tk jnta ko ye nahi bta pai ki CWG me itna bada ghotala kaise hua?? SPECTRUM ALLOCATION me locha kaise hua?? kale dhan ka hisab-kitab inki sarkar janta ko q nahi bta pai??? to anna ji se apko ya puchne ka haq kaise hai?? ye to whi bat hui “khud to miyan fazihat or dusron ko nashihat” bhai DIGGI ji ko to hm bs itna hi kahenge ..ki huzur” jinke ghar sees eke hote hai, wo batti bugha ke kapde badalte hai”..
ab milie KARNATKA ke mannniye se. ye hai sri KUMARSWMI ji. huzur pehle karnatka ke CM bhi reh chuke hai. huzur ka hazma to itna kharab tha ki bechare control hi nahi kar paye or fachfacha ke nikal hi diya.. or wo bhi itna ganda nikala ki puchiye mat…. huzur ka kehna hai ki “ aj ke samay me agar GANDHI jib hi hote to unhe bhi ek rajnitik party ko chalane ke liye bhrastachar ke paiso ka pryog avashya karte” isse huzur ka mtlb kya tha ki kya we bhi apni party ko chalane ke lie bhrastachar ke paiso ka upyog karte hai??? bhai hum to huzur se ek hi bat puchenge ki “ huzur itna q ghabra rahe hai, kya ap bhi bhrast hai jo chupa rahe hai??”
aura b akhir me baari CHOTE BHEEM ki mera mtlb D.P. TRIPATHI ji ki… kya kaha ye kaun hai?? huzur national congress party (NCP) ke pravakta hai. ji ha whin cp jiske leader apne bhari bharkam neta sri shaktimaan swaroop sri sri SHARAD PAWAR ji hai. khair bat DP TRIPATHI ji ki. jara fule hue huzur ke pichke hue alfaj to suniye ..”anna ji ne ye kehkar ki sabhi neta bhrast hai, loktantra ka apmaan kia hai. unhe janta se maafi mangni chahiye” ab btaiye bhala ek to inhe koi janta nahi upar se huzur itni badi bat keh gai.. bhai hum to huzur par ek hi julma fek ke marenge .. ki “ soop to soop bole chalni bhi bole jisme 72 ched”
khair desh me or bhi kai aise mahan namune hai jo anna ji ki muhim ka virodh kar rahe hai, par hm to akhir me itna hi kahenge ki ..”haathi apni chal chalta rehta hai or kitanu dishum-dishum karte rehte hai” hme pata hai, kahawat galat hai par sahi istmaal karunga to pehle se hi kharab hazme ke shikar in netaon ko lakwa bhi jaiga.
“JAI HO”

Sunday, March 27, 2011

lucknow

“LUCKNOW KA NWABISTAN”
“O SEHAR-E-LKO TUJHKO SALAM,
HAI TERA HI NAAM DUSRA JANNNAT KA NAAM”
NAMASKAAR nwabon ke sehar lko me apka swagat hai. Lko, ye whi sehar hai jo jana jata hai apni tehjib ke lie, ye whi sehar hai jo pehchana jata hai apni njakat ke lie. Ye whi sehar hai jiske sine me chupa hainwabon ka itihaas, chicken ki kalakari or aam ki mithas.
Dhanumati yani gomti ke kinare basa hai sehar lko. Yun to aj ka lko bhut tez hai, takniki roop se viksit hai. Bade-bade maal or imaret yhan ki shan hai. Chudi-chaudi sadke, unche-unche mkan, sayd yhi ban chuke hai ab nai lko ki pehchan…….. lekin huzoor ye to bs bangi bhar hi hai hmare lko ki. Asli lko to abhi bhi hmare IMAMBADE,ROOMIGATE,RESIDENCY, TEELEY WALI MASJID OR tmam aise hi gumbadon or mehlo me basta hai. Purani lko ka rasta yun to in chaudi-chaudi sadko se hokar hi jata hai par asal me wo tehzib, tamij or njakat wala lko choti-choti galion me hi basta hai.
To aiye sair krate hai apko asli lko ki………….

PURANE LKO KO GHUMNE KA HMARA SFAR SHURU HOTA HAI TEELE WALI MASJID SE.
is
masjid se sehar ke beech se gujarti hui gomti ko dkhne ka nzara bh adbhud hai. masjid ke bare me ye kha jata hai ki yhan mangi gai har murad jaroor qabul hoti hai. Isi astha or vishwas ke sath hm sb apne lie dua mangte hue age badte hai.

Teele wali masjid ke thik peeche sthit hai KALIJAMA MASJID. Is masjid ki deewaron par kuredi gai kalakari par do pal ke lie sabhi ki nazre tehr gai.

wakai is masjid ki kalakari gazab ki thi.
Kalimasjid se hmne rukh kia purane lko ki chawk ki taraf. Teele wali masjid ke upar-neche raston se gujarte hue hm pahuche IMAMBARA.

1784 me asif-ud-daulake dwara banwaye gai is imarat ka suraksha Tantra ke bare me jankar hmari ankhe ascharya se fati reh gai. Asal me ye IMAMBARA is trh se bnaya gya hai ki IMAMBARA ke andar se hi baithe-baithelagbagh 5KM ke dayre me sainik dushmanon ko dekh lete the, yr wakai lajwab tha. Imambara ke bare me ek rochak jankari ye bh hai ki ye koi aitihasik imarat nhi balki itihasik dharmik sthal hai.



Nwab ASIF-UD-DAULA kebare me Kaha jata hai ki “jisko na de maula usko de asif-ud-daula”. Aisa kaha jata hai ki ek bar lko me shukha pad gaya tha to janta pareshan thi qki unki sari fasal pani k abhav me barbaad ho gai thi. Nwab ne janta komuft me dhan aur anaj dekar unki mdad krne ki kosis ki lekin janta ne khudddari dikhate hue us mdad ko lene se inkar kar dia. Janta ka kehna tha ki ve bina koi kaam kie paise ya anaj nahi lenge . tb nwab ne ye IMA M BARA bnwane ka elan kia aur logo se kaha ki ap log is imarat ko bnaiye or mjduri ke roop me dhan aur anaj le jaiye. Kehte hai din me log imarat ka nirmaan karte the aur rat me nwab use girwa dete the, taki log kam krte rahe or anaj aua dhan lete rahe.
Sirf imambara hi nahi aur bhi kai imarte hai jo lko ki shan-o-shaukat me char chand lgati thi or laga rhi hai halnaki inme se kuch sitare tut kar apna astitva kho chuke hai. Residency, Dariya wali kothi, Machhi bhawan, Tile wali masjid , Clock tower, Sheesh mehal, Rumi gate, Jama masjid aur Musabagh inme mukhya hai.
Lko ke logon ke bare me ek baat aur mashur hai ki yhan ke purush apni begamo ke bhut deewne hote the or unke pyar shayriyan padha krte the. Aise hi shayar ne apni begam ke lie farmaya tha “mard wo hai jo mardana war lad ke mare, mare jarur mgar maut sr akad ke mare… na mare ikka tange se na bus se lad ke mare, tmhari yad me endi ragad-ragad ke mare”
Nwabon or unke shasan ke bare me jankari lete hue hm ab bad chuke hai CHOWK ki or. Chowk me sbse pehle hm ruke “ raja ki thandai ki dukaan par”

Is thandai ki dukan ke bare me kha jata hai ki ye 150 saal se bhi jyda purani hai aur iske murid GANDHI, NEHRU,BAJPAI jaise bade-baade log rahe hai. IS dukan me thandai sadi bhi milti hai or bhang wali bhi. Bhang wali thandaii MAJA THANDAI ke naam se mashur hai.
THANDAI ki dikaan se nikalne ke bad hm pahuche paan ki dukan par qki “ ama miyan wo nwab hi kya jo paan ne khaye” is paan ki sbse badi khasiyat ye hai jnab ki pehle to ye itna bada hota hai ki isko pura muh me rakhna kisi chunauti se kam nahi hota pr muh me rakhne ke 2 min bd hi iske avsesh matra hi apke muh me bachta hai aur bachta hai ek meetha sa lajwab ehsaas.
Thandai or paan ka mja lene ke bad hum pahuche purne lko ki sakri galion ke darshan karne jiski shruwat hati hai GOL DARWAJE se. yun to is drwje ka apna ek aitihasik mhatea hai pr iska mhatwa in posters r banner se sayd kahi kam hai.
Khair ab le chalet apko kothe par …………. Aji us jmane ke. Maafi chahunga ki abhi mai apko sirf iska nzara hi dikha skts hu, maje nahi dilwa skta.

Aji ye kanhaiya lal gopal la lab is kothe ken aye malik nahi, ye to malik hai us dukan ke jisne is kothe ki njakat or nfasat ki jgah le li hai.

Ye hai purane lko ka KINGS UNANI HOSPITAL . ye 1832 se yahi par maujud hai. Iski khasiyat ye hai ki yhan kisi bhi bimari ka hmesa se hi herbal tarike se ilaj hota arha hai. Ek or bat yhan ki fees sirf 16 rs hai. Iske alawan yhan dawa aadi ka koi paisa nahi padta.
In patli sakri galiyon se hote hue hum lgataar nwabon ke sehar lko ke itihas, purani yaden, purani kalakritiyan se ru ba ru ho rhe the ………
Ki tabhi hm pahuche ek aise ghar me jo gwah hai ajadi ka. Is ghar me GANDHI, NEHRU, NAIDU adi kai bade-bade logon ki gupt meeting hpti thi.is ghar me ane ke 7 raste the….

Chowk ki galion me ghumte- ghumte hmne kuch aise nzare dekhe jo sayd khud ma khud shabut de rhe the is baat ka ki kaise woqt badla or badal gai in galiyon me basne wale mkan or log, or jo nhi bdal payw wo sirf khndhar hi reh gai… jara in tasveeron par gaur farmaiye…..



Yun to ye mehal bhut sundar or alishan hai pr inka mhatwa in khandharon se kahin kam hai.
Is naye purane lko ke sath-sath darshan krne ke bd hmne lko ki kuch mashuur chejon ko bhi dkha jaise chudiyan,itra, nagre, gaghra, purane jmane ke kuch sikke or noten.aur kuch pakwan…..



Aur akhir hmne mulaqat lko ki us cheez se jisne lko ka nam na sirf desh me balki pure wrld me mashhoor kr dia hai, wo hai CHICKEN…….

Purana lko ghumne ke sath-sath hmne dilkusha palace, bnarsi mehal, batlar palace, sikandar mahel, shenjaf, motimehal, taron wali kothi, nzara palace, chatar manjil ki bh jankari prapt kari.
Lko ke bare me ye assignment krte samay mai apna 100% nhi de paya qki mere lie ye “ waqt bhut kam hai or muqabla bhut shakth hai” jaisi bat thi, fir bhi chalet-chalte apne pyare lko ke bare me ye do linen jaroor kahunha’;; ” KHAK-E-LKO HAI MEHAJ GUMBADE MINAAR NAHI, YE SIRF SEHAR NAHI KOOCH OR BAZAR NAHI, ISKE ANCHAL ME MHOBBAT KE PHOOL KHILTE HAI ISKI GALION ME FARISTON KE PATE MILTE HAI”. ISLIYE MUSKRAIYE KI AP LKO ME HAI.

Thursday, March 10, 2011

ethanasia

“EUTHANASIA”
MEANING - jo log jeena nahi chahte wo apni iksha se maut ko sweekar kar skte hai. Sansar ke kuch deso me isko kanooni manayata prapt hai. India me bhi isko lekar samay-samay par behas chalti rehti hai.
TYPES OF EUTHANASIA -
Ye 3 tarh ka hota hai –
1. Violentier Euthanasia – Isme marij ki iksha se doctor use maut dete hai.
2. Non Violentier Euthanasia – Isme marij ki iksha ka pata nahi hota. Ex- jaise bachhe or coma ke marijo ke liye. Is tarh ke Euthanasia ki ijajat pure sansar me kahin nhi hai lekin groninjain protocol ke tehat nihayt jaruri hone par iska istmaqal kia ja skta hai. Neitherland me iska istmal guardian ki sehmati se kai ja skta hai.
3. In Violentier Euthanasia – Isme marij ki asehmati ke bad bhi kuch medical resons ke karan se euthanasia dene ki baat hai. Iski ijajat bhi dunia me kahin nahi hai.
EUTHANASIA DENE KA TARIKA-
1. ASSISTED EUTHANASIA – Jb kisi ko apni jaan lene me madad ke lie jankari muhaiya karai jati hai to ise assisted suiside kehte hai.
2. EUTHANASIA BY ACTION – KISI KI IKSHA MRITYU ki guhar par injecrion ya dawa dekr use jiwn se mukti dilane ko EUTHANASIA by action kehte hai.
3. EUTHANASIA BY OMMISSION - – KISI KI IKSHA MRITYU ki guhar par JARURI DAWA NA DENA YA ROK KAR JIWAN SE MUKTI DILANE KO EUTHANASIA BY OMMISSION kehte hai.
1. 1984 ME, ALBANIA pehla desh hai jisne EUTHANASIA ko legal permission di thi.
2. Neitherland & switzerland me bhi ise legalise kia hai.
EUTHANASIA in INDIA
INDIA me EUTHANASIA illegal hai kyonki ATMHATYA KA PRAYAS BHARTIYA DAND VIDHAN KI .DHARA 309 KE TEHAT APRADH HAI. DAYA MRITYU BHALE HI PIDIT VYAKTI KE DARD KO KAN KRENE KE LIE KIA JANA HO LEKIN WO BHI DHARA 304 KE TEHAT APRADH HAI.
EUTHANASIA KE FAVOUR ME – EUTHANASIA KA FAVOUR KRNE .WALON KA KEHNA HAI KI HUM HAR HAAL ME MANAV JEEVAN KI BAAT KARTE HAI. AISE ME HAR ADMI KO APNI JINDGI KE BARE ME FAISLA LENE KA HAQ MILNA CHAHIYE , ISME JEEWAN LENE KA ADHIKAAR BHI SHAMIL HAI.
EUTHANASIA KE AGAINST – DUNIA BHAR ME LAKHON GARIB PAISE KE ABHAV ME ILAJ NAHI KARWA PATE AUR DARD JHELTE HAI. EUTHANASIA KO VAIDHTA MIL JANE PAR AISE GARIB LOGO KO BHI ILAJ KE BJAY IKSHAMRITYU KE LIE BARGLAYA JA SKTA HAI.
DIGNITY OF DYING– ENGLAND me 1935 me violentry EUTHANASIA legislation society bani thi, jo tabhi se EUTHANASIA ke favour me andolan chala rahe hai. 2005 me is group ne apna naam badalkar DIGNITY OF DYING KAR LIA THA .YE ENGLAND ME EUTHANASIA ko leglaised karne ke lie ladai lad raha hai.( www.dignityindying.org)
WORLD FEDRATION OF RIGHT TO DIE SOCIETY – YE EUTHANASIA ka favour karne wali international organaisation hai, jiske dunia ke 27 deshon me 46 association hai.
KYA WAKAI JEET GAI JINDGI ??????”

Us samay mai 14 saal ka tha, mujhe aj bhi yaad hai mera ghar ke pas hi rehne wale SHUKLA uncle ki wo dardnak halat , unhe lakwa ho gaya tha, unke saree ke adhe ang par lakwa ne kabja kar lai tha. mujhe aj bhi yad hai unki aah! Dard se behte unke aansu, khud kuch na .kar pane ki unki kuntha, muuh se nikalti unki tuti-futi ladkhadati awaz aur usi awaz me et tadap aur vichlan ke sath unki wo dua “ HEY BHAGWAN HME MAUT DE DO, REHAM KARO HM PAR HME MAUT DE DO”.
Ye kehna shayd sahi hoga ki unki kismat achhi thi aur bhagwan ne unki sun li. 7 mahine bad SHUKLA uncle ki death ho gai. Unke jane ka gam to sabhi ko tha par gharwalon ko is baat ki khushi na sahi par santusti jaroor thi ki unko (uncle) ko jyda jhelna nahi pada.
ARUNA SHANBAAG, naam .ek aisi mahila ka jo kuch na hokar bhi aj pure smaj me hi nahi varan pure desh me behas ka ek mudda bai hui hai.
Maine apni ab tak ki jindgi me logo ke jivan chakra ke bare me to bhut behson(debate) ko suna tha lekin kisi ki death ke bare me itni vyapak behas pehli baar dekh aur sun raha hun.
ARUNA SHANBAAG pichle 37 varshon se mumbai ke KING EDWARD MEMORIAL HOSPITAL ke WARD NO.16 me bharti hai. 37 varsh pehle mumbai bhagti thi, mumbai aj bhi bhag rhi hai par is bhagti hui mumbai me 37 varsho se thami hai ARUNA ki jindgi.
ARUNA SHANBAAG ek nurse thi, 37 varsh pehle 27 nov.1973 ko SOHANLAL namak ek vyakti ne unke sath duskarm kia tha. Kaha jata hai ki duskarm karne se pehle usne aruna ka dimag aur gala kutte ko bandhne wali chain se kas ke bandh dia tha jisse ARUNA ke mastisk tak oxygen ki supply band ho gai thi. Wo din aur aj ka din ARUNA SHANBAAG ek jinda laash ban ,chuki hai.
37 varsho se ARUNA ne bahar ki jindgi nahi dekhi hai. Din ka ujala unki jin;dgi me faile andhkaar se kahin jyda kam hai. Unke lie ab festivals ka bhi koi matlab nahi qki diwali ke die to unke lie .shayad tabhi bujh gai the jab unki ummedo aur apno ke chirag ko unke kisi apne ne dubara jlane ki kosis nahi ki aua unka sath chhod dia tha, berang ho chuki unki jindgi me ab shayd holi ka har rang fika hai.
ARUNA SHANBAAG ki ye halat dekhkar 2009 me ek patrakaar aur smajsevi PINKI VIRANI ne supreme court me aruna ko EUTHANASIA ( iskhamritu)dene ki apeel ki thi.. jaise-jaise PINKI ki arji ki sunvai court me badhti gai, pure desh me EUTHANASIA ki behas bhi chidti gai.
ARUNA SHANBAAG ke lie EUTHANASIA ki arji karne wali PINKI ke prasansak bhi bhut hai aur alochak bhi bhut. Lekin unke is kadam ka sbse bada virodhi koi aur nahi balki ARUNA ki chikitsa aur dekhrekh me lage ve sabhi doctors aur nurse hai jo pichle kai varsho se niswarth bhav se ARUNA ka ilaj kar rahe hai. Unki dekhrekh me lage ye doctors aj se nahi pichle 15-20 varsho se ARUNA ki dekhbhaal kar rahe hai aur yahi nahi aise hi doctors ki ek pidhi unka illaj kar retired ho chuki hai.
Yun to ARUNA ke apnone unka satth bhut pehle hi chhod dia tha par ab K.E.M. hospital hi unka parivaar hai aur isi parivaar ne unki alochna karte hue kaha ki
“AAKHIR VIRANI ARUNA KI HAI KAUN , WO KAUN HOTI HAI ARUNA KI JINDAGI AUR MAUT KA FAISLA KARNE WALI??”
Hospital ke logoi ki baat shayad sahi bhi hai ki “yadi 37 varsho se wo log unki care kar rahe hai to aruna ke bare me koi bhi faisla lene ka haq sirf unhe hai aur kisi ko nahi” lekin hospital wale is baat ko pure dave ke sath keh sakte hai ki ARUNA wakai jeena chahti hai. Ho skta hai ki ARUNA ki iksha bhi iksha mritu ki ho aur is samay wo hospital walon ko mann hi mann kosh rahi ho ki “aakhir kyon jinda rakha hia mujhe??” .
Besak VIRANI ko ARUNA ke bare me koi faisla karne ka haq nahi hai lekin hospital walo ko bhi to aruna ke bare me koi faisla karne ka haq nahi ho skta… aakhir aruna bhi to ek manav hai koi pashu to nahi jiski yadi kuch saal sewa ya palan-poshan kar dia jai to uske bare me sare faisle karne ka haq ho jaye.. aakhir PINKI aur hospital walon ke beech khud ARUNA ka faisla kahan hai???
Wo besak bol nahi skti par kya unhone in 37 varshon me kam se kam ek baar bhi aisa koi sanket nahi dia hoga jisse ye pata chalta ho ki wo ab jeena nahi chahti ???? hospital wale jb ARUNA ke haav-bhav se ye jaan sakte hai ki unhe fish aur chikan soup pasand hai, unge bhakti gane sunna pasand hai to kya ve ARUNA se is prashn ka uttar nahi puch sakte ki kya aruna vakai jeeena chahti hai ya nahi????
Aruna ke sath hum sab ek firm determinatiomn wali, bhut majbur iksha shakti wali, ek vishesh vyakti ki tarh ya yu kahe ki ek nayab ajube ki tarh pesh a rahe hai . mere khayal se use bhi ek aam admi samjha jai aur 37 varshon se bistar par padi aur dusron par nirbhar hone ki unki kuntha ko samjha jai.
ARUNA SHANBAAG besak SHUKLA uncle jitni kamjor na ho par kya ARUNA vakai itni shaktishali hai??????7march 2011 ko Supreme court ne PINKI VIRANI ki ARUNA KO EUTHANASIA dene ki arji kharij kar di hai. Curt ke is faisle ka swagat karte hue KING EDWARD MEMORIAL HOSPITAL ke logo ne mithaiyan bati aur kaha ki “jeet gai jindgi” . lekin mere khayal se aj ek baar fir mujhe apko aur hum sbko ARUNA ke dard ki gehraiyon me jakr, unki tadap unki vichlan ko samajhkar ek baar fir ye sochna hoga ki “KYA WAKAI JEET GAI JINDGI ??????”

Thursday, March 3, 2011



Manish- Irfan ji namaskar.                                                         
Irfan- namaskar ji.
m- sbse pehle to hme time dene ke lie apka bhut-2 sukriya.
1.     Q-Nanpara ( behraich ) k rehne wale hai ap to nanpara s lko kaise? Or sirf lko hi q?
2.     Ans-  cls 8th se sapna tha journaliist banne ka, inter k bad malum hua ki lko uni se BJMC nam ka course karaya jata hai to bus yahi a gai.
3.     Q – ha lekin delhi bhi ti ek behtar option tha ?
4.     A- delhi hm afford nhi kr skte the or wo ghar se door bhi bhut tha.
5.     Q- Kya goal hai apka ?
6.      A- is course k bad ek acha jornalist banna or agr na journalist bana to ek political leader banna.
7.     Q- agr na journalist banna se kya mtlb? Apko apne ap par bharosa nahi?
8.     A- dekhie agar ap aj kal ki bat kare to har jgah power chalti hai jo bade baap ke bete hai ya  jinka political background hai unhe asani se ticket mil jata hai or agr ap bade-2 politics k media prabhari dekhe to we sb print ya electronic media se hi asye hai  to agr ek bade journalist ban gai to tohik wrna media ek rasta hai politics tk jane ka.or ha I wnt to be famous.
9.     Q-Acha journalist se apka kya mtlb hai?
10.       A- yu to journalist ki defination bhut sari hai pr meri nazar me ek acha journalist whi hai jo jis kaam me hath dale wo kaam ho jai.
11.       Q-Music ka sauk hai apko , ap drum bh achha bjate hai .kis tarh ka music pasand hai apko?
12.      



 A- ha bhut pasand hai, maine apne collrge k tme pr kai award bhi jeete singing k lie. Waise to gano ka taste mood pr depend krta hai lekin fir bhi mujhe old song jyada pasand hai. Mai rafi ji ka fan hu. Mai dance bhi karta hu.
13.       Q- apke kisi favt gane ki do line….     
14.       A- kya hua tera wada….(gaya)
15.       Q- Ap itna acha gate Hai, To fir journalism hi q? music q nh? Music ko kbhi as a career nahi socha?
16.       A- nhi. Mai gata hu lekin maine kabhi kisi se sikha nahi isliye kabhi music ko career ki tarh nhi socha.
17.       Q- Irfan miya apka P.R. bhut acha hai, jb maine kuch logo se baat ki to lagbagh sabhi ne apke P.R. ki tarif ki.  kaise ?
18.       A- mera P.R. god gifted hai. Mai jb bhi kisi se milta hu chahe wo daroga ho, bada politician ho koi bhi ho , mujhe lgta hai ye admi kbhi bhi mere kaam a skta hai isliye mai cntact bana leta hu or use age tk le bhi jata hu.
19.       Q- Ap bhut helpful hai,  almost  sabhi ne ye baat kahi hai. Such hai? Kisi ki help krne ke peeche apka kya maksad hota hai? Fame ya kuch aur?
20.       A- help krne ke peeche mera koi maksad nahi hota hai. Agr koi mere pas aya or aga mai uski khud ya mere sourses se uska kaam ho skta hai ti I try my level best.
·        un logo ka mjak bhut cheap tha. Wo jin ladkion se cls me bat krte hai unhe hi peeth peche gali dete hai, mujhe ye pasand nhi aya or wo log chichore type k bhi hai.
·        Kuch logo se meri undrstanding aj bhi nhi hai lekin unse hello hi hota hai kyoki wo mere clsmate hai to hi hello meri majburi hai.
·        ek bhut bade journalist ne ek baat kahi thi “ is hmam me sbhi nange hai jo ek dusre jo dkhkar shame-2 kr rhe hai” par inme bhi kuch log hai jo kuch kapde pehne hue hai.

21.       Q- Ek baat or btana chahta hu ki apke helping nature ki tarif karne wale kewal girls thi. Kya ap boys ki help nh karte ?   
22.       A- aisa nhi hai mai sbki help krta hu. Ha aisa ho skta hai ki ladke help lete hi nhi. Ladke pehle relatives ma jugad lgate hai bt girls sochti hai ki pehle frnds se kehte hai shayd ho jai. Ladko me jo ego hta hai wo ladkion me nahi hota.
23.       Q-  Ye bhi paya gaya hai ki apke dosto me jyda numbers girls ki hai ?  mujhe malum hua ki apki junior girls ke sath to ache relation hai lekin junior boys ke sath nahi..boys se apki nahi patti kya?
24.       A- apki ye information galat hai… junior boys bh milte hai or barabar respect dete hai. 
25.       Q- Maine suna hai ki ap thoda asiq mijaji hai..KAI GIRLS NE YE BHI KAHA KI AP LADKION KE PECHE bhagte hai ? un logo ne hi kaha ki unke pas jitne bhi girls ke no. hai sbke no. hmesa unhone(irfan) hi pehle mange hai.. kya kehna hai apka?
26.       A-aisa nahi hai mai ladko se bhi cntact no.  mangta hu ki kya pata kb kaun kaam a jai. Ye sb bs apne P.R. ko maintain karne k lie.
27.       Q- apko nahi lhta ki ap apne P.R. ke tale apni asiq mijaji ko justify kr rhe hai?
28.       A- g nhi aisa nhi hai, pyar sirf ek se hota hai, aisa to hai nhi ki mai jisse baat karu usse pyar ho jai.
29.       M- ji  nahi mai pyar ki bat nahi kar rha  actually hm or ap umra k jis pdav me hai ,isme logo ko yhi nhi pata hota ki pyar kya hai. To mai pyar ki baat nhi kr rha mai flirting ki baat kr rha. A- ji ha wo to hai mujhme thodi-bhut.mai bhut mjakia type ka hu , ise bh log flirting hi kehte hai.
30.       Q- jaisa ki apne kaha ki ap bhut mjakia hai lekin clas ke hi shayd kuch logo ka mjak apko bura lg gya tha or apki unse kaha suni bhi ho gai thi, kya hua tha?
31.       A- un logo ka mjak bhut cheap tha. Wo jin ladkion se cls me bat krte hai unhe hi peeth peche gali dete hai, mujhe ye pasand nhi aya or wo log chichore type k bhi hai .   ap samajh rhe honge ab mai khul k nhi keh skta. Kuch logo se meri undrstanding aj bhi nhi hai lekin unse hello hi hota hai kyoki wo mere clsmate hai to hi hello meri majburi hai.
32.       Q -Apke dost hai ? kitne hai?
A- bhut sare hai.agr 24 ghante bhi die jai to mai apne dosto ki ginti nhi kr skta.
Q- Kabhi socha hai apne ki apk itne sare dost Q hai ? kya sochte hai ap apne dosto ke bare me?
A-    Sbhi bhut ache hai, mere dukh-shukh me sth rehte hai.
33.       Q- Mai apko ek statement sunata hu jo ki apke ek behad karibi dost ne kahi hai “wo bhut kaam ka hai, uska P.R. bhut acha hai isliye usse dosti karni padi” ab kya kehna hai apka apne dosto ke bare me?                     
34.       A- kya ap us dost ka naam bta skte hai?
35.       M- nhi. Ye mere sorces the.
36.       I- ab mai kya kahu?chaliye khushi hai ki mai apne kisi ache dost k kam a rha hu.hm kaam nikal skte hai lekin kaam a nhi skte.
37.       Q- Ha lekin apko nhi lgta ki ap use kie ja rhe hai?
38.       I- nhi mujhe aisa mehsus nahi hota.
39.       Q- Apne btaya ki ap POLITICIAN bhi banna chahte hai, infact apne apna rajnitik career suru bhi kar dia hai.
40.        Q banna chahte hai ap  politician?
41.       A- nhi maine abhi tak apna rajhjnitik career suru nhi kia hai.
42.       M- bt mujhe malum hua ki ap kisi political party se jude hue hai?
43.       A- ha maine S.P. join ki thi pr chhod di.
44.       Q- q chhod di apne S.P.?
45.       A- jb babri wala case hua or usk bd mulayam k jaise bayan a rhe the , hme bura lga. Unka agenda mere agende se alag tha.
46.       Q- Kya ap aj ke political mahol se  santust nahi hai? Desh me bhut sare POLITICIAN hai? To ap naya kya karenge?
47.       A- ab ye to mai banne k bad hi bta paunga.
48.       Q- Lekin fir bhi apko apna agenda to btana hi padega.
49.       A-mera agenda whi hoga whan ki pblms ko solve krna.
50.       Q- Apka agenda whan ki pblms ko solve krna hoga ya apka agenda wo hoga jo apki party ka agenda hoga?
51.       A- mera agenda mtlb party ka agenda, party ka agenda mera agenda.
52.       Q- apke agenda parety ka agenda kaise hoga ? ap party se honge ya party apse?
53.       A- ap samjhe nhi. Dono ek hi baat hai?
54.       Ek hi baat kaise,  apne  kha tha ki apne s.p. isliye chhodi kyonki apka agnda unke agende se match nhi kr rha tha.
55.       A- nhi mera agenda hoga ki whan par vikas ke kaam krana aur party ka  agenda kuch or hoga jaise hindu ko vote nhi jayenge etc.
56.       Q- kahi na kahi apko nahi lgta ki ap “one man army” ki baat kr rhe hai ?
57.       Nhi, mai  one man army ki baat nhi kar rha. Ap khud hi btaiye agr koi mp agar chahe vikas krna to kya kr nhi skta…
58.       Apka mtlb hai ki kisi party ko apke agende ke hisab se chalna padega ki jaise ap ye bol denge ki “bhai mera to ye agenda hai apko pasand aye to mai party join karu warna nhi”
59.       Nhi……  mere khayal se sabhi partiyon ka agenda vikas hi hona chahiye.
60.       as a POLITICIAN kya goal hoga apka? A- mai apne chetra se election ladna chahunga chahe wo chote se bhi chota q na ho taki mai whan k logo ke liye kuch kar saku.
61.       Q- apko nhi lhta ki ap chetrawad ko bdhawa de rhe hai? A- nhi ,mai chetrawad me nhi pad rha . mai bs us chetra me kaam krke dikhana chahta hu ki than bhi vikaas ho skta hai.
62.       Q- apki favt political party kaun si hai? A- ek bhut bade journalist ne ek baat kahi thi “ is hmam me sbhi nange hai jo ek dusre jo dkhkar shame-2 kr rhe hai” par inme bhi kuch log hai jo kuch kapde pehne hue hai.
63.       M- to kis party ne kuch kapde pehne hue hai? A- congress.
64.       Mujhe ye malum hua hai ki apko apni ek junior pasand a gai thi or apne kosis bhi ki thi?               
65.       A- ha such hai.
66.       Q- to kya apki kosis safal hui?
67.       A- nahi.
68.       Abhi koi Gf hai apki ?
69.       A- ha .
70.       Q- yahi lko me ya kahi or ?
71.       A-Lko me hi.
72.       Q- ajj kal ke  netaon ke bare me app ka kya kahna hai?
73.       A- ajj kal ke jo budhe khusat type ke neta hai unhe hatna chahiye aur youngsters ko chance dena chahiye.
74.       Q- accha jo ajj kal ke young leader jaise adityaraj sindhya, jitin prasad, inke bare me app ka kya kahna hai?
75.       A- in sabko “baap ki bapouti mili hai” aur mujhe lagta hai jo log wakai niche se kam karte aa rahe hai unhe chance milna chahiye.

76.       Q- Ap aur saurabh ji class chalne ke beech me  bhut khusur fusur karte the . aisa Q?
77.       A- wo sab sararate thi, ab agar ye sab abhi nahi karenge to kab karenge, Apni wife ke sath to tafri karenge nahi.
78.       Q- Appko nahi lagta ki isse puri class disturb hoti thi?
79.       A- nahi mujhe kabhi aisa mehsus nahi hua.
80.       M-Irfan ji main appko batana chahunga ki isse mujhe hi nahi balki pure class ko disturbence hota tha, aur mujhe bahut afsos hai ki app ko is baat ka ahsaas tak nahi.
81.       Irfan- humse kisine ne kuch kaha hi nahi.
82.       Q- appko nahi lagta ki ye IDENTITY CRISIS  wala koi masla hai?
83.       A- nahi aisa kuch nahi ye sirf sararte thi.

84.       Q- to ab ye sararte q nahi karte? Shayad isliye ki ab six month beet chuke hai aur ab sab appko jaan gaye hai?

85.       A- nahi aisa nahi, ab wo sathi nahi raha.
86.       Q- Libiya, egypt or tunisia me jo bhi hua, apka kya kehna hai uske bare me? Apko lgta hai ki libiya bhi apne maksad me kamyab hoga?
87.       A- ha bilkul wo kamyab ho jayenge.
88.       Q- ye janne ke bawjud ki waha ki army logon ka sath nahi de rahi?
89.       A- isme time lagega lekin ho jayega.


Q-Gussa ata hai irfan miyan ko? Kaise nikalte hai?
90.       A-  haan, lekin bahut kam. Jab gussa ata hai to us insan ko kuch dino ke liye ignore karna suru kar deta hu, phir jab mood sahi hota hai toh khud hi jaa kar usse bolta hu.
Rapid fire-
·        Favt food- biryani
·        Favt clothing- kurta pajama.
·        Archit- A classmate jisse abhi tak understanding ban nahi pai hai.
·        Mukul- L.U. ke best teacher.
·        Manish- Intelligent. Aisa jisse kuch sikha jai.
·        Isha- bestam best friend.
·        Phule- a comic character