Saturday, May 14, 2011

king khan ya king tom

“KING KHAN YA KING TOM”


Tom & jerry ka naam to ap logo ne suna hi hoga, mera favourite cartoon show hai. Ap sochenge ki 21 saal ka ye ghoda bachhon ke cartoon tom n jerry ki baat kyun kar raha hai?????? Ji asal me baat kuch aisi hai ki in dino mujhe tom n jerry jaise character asal jindgi me nazar a rhe hai.
Tom n jerry me tom jo ki jerry ki upeksha bada, jyda takatvaar, par hmesa jerry ki chalon me faskar muh ki khane wala. Badi hasti or jyda takat hone ke bavjood bhi Jerry, tom ko hmesa bauna sabit kr deta hai.
SHARUKH KHAN, bollywood ka betaj badshah, ek bada naam, badi hasti, ek bhut badi or shandaar shakhsiyat ke malik or film jagat ke KING KHAN. SHAHRUKH sirf apni sundar shakl-surat ke liye hi nahi balki apni sundar seerat ke liye bhi mashooor hai . ek ache insaan ki tarah unhone hmesa hindu ya muslim dharm ko nahi balki MANAV DHARMA ko apnaya hai.
SHAHRUKH… ek aisa naam jiske ghar ‘MANNAT’ me NAMAZ ki duaa or “OM SHANTI OM” ki prathna logo ke “DIL SE” nikalti rehti hai..ID ki siwaiyaan to mano DEWALI ke deepo se pakti hai, shahrukh…. ek aisa kalakaar jisne kabhi UP-BIHARIYON ya MUMBAIKAR me koi antar nahi kia. Use desh ke har hisse se pyar mila bhi or usne sbko pyar kia bhi …..
BAL THACKERY ek or bada naam par SHAHRUKH jaisa bada………. shayad nahi, ek aise sangthan ka mukhia jo KATTAR HiNDU mana jata hai,……..
BAL THACKERY ek aisa vyakti jo shayad MUMBAI or MARATHI ke age kuch soch samajh hi nahi sakta…. Ek aisa kattar rajnitigya jo UP or BIHAR ke logo ko bhukha nanga or chor samajhta hai……. Ek aisa neta jo hindustaan ki maati me janam to leta hai par wahan ki matrabhasha ko apnane se katrata hai…. Ek aisa badnaam DABANG jo apne niyam-kanoon khud banata hai……. BAL THACKERY ek bhudha sher jo sampradaikta or kshetriyata ki bimari se grasit hai jiske prashanshak shayd sirf Mumbai me ho par alochak desh ke har kone me hai..
Aj se lagbhag 8-9 mahine pehle SHAHRUKH ki “MY NAME IS KHAN” release hone wali thi . film release ke pehle Mumbai me iska jordar virodh hua tha, shiv sena ne SHAHRUKH ke virodh me film ke poster fade or multiplex ke maliko ko dhamkaya bhi tha. Darasal shahrukh ne keh dia tha ki “MUMBAI SABKI HAI” jisse BAL THACKERY or unki sena SHIV SENA bhadak uthi thi. Us samay SHAHRUKH ne bhi bade “JOSH” ke sath talkh tewar apnaye or kaha tha ki unhone kuch bhii galat nahi kaha…….. us samay pure desh se SHAHRUKH ko sath or shakti prapt hui thi, SHIV SENA ke virodh ke bavjood MY NAME IS KHAN Mumbai sahit sampurna desh me hit hui thi.
Abhi 2-3 din pehle “SAMNA” jo ki shiv sena ka mukhpatra hai , me thackery ne shahrukh ki jamkar alochna ki….. darasal aisi khabar thi ki sharukh ek aise charity show me shirkat krne jar he hai jo baadh piditon ke liye paise ekattha karegi , king KHAN se aisi ummed thi ki wo aisi baton par dhyan nahi denge or is nek kaam me apni bhumika jaroor ada karenge par………………… is bar kahani me twist a gaya… TOM (shahrukh) ruk gaya…. Or JERRY (BAL THACKERY) se haar gaya, bollywood ke betaj BADSAH ne THACKERY ko“YES BOSS” keh dia jld hi media me khabre ai ki KING KHAN aisi kisi show me nahi ja rahe .. yahan tak ki shahrukh ke office se official information media ko di gai ki BADSHAH wahan shirkat nahi karenge.
Waise to DON ko 11 mulko ki police dhundh rahi hai par DON ko pakadna muskil hi nahi namumkin hai par shahrukh ke is faisle ke bad ye jaroor mehsus ho raha hai ki DON ko pakadna bhale hi mushkil ho par darana bhut asaan hai.
SHAHRUKH jaisi badi hasti agar THACKREY ke samne jhuk jayaenge to ek mango man galat logo ke samne kaise awaz uthaiga?????
Tom & jerry mera favourite hai, use dekhkar khushi hoti hai par asal jindgi me is TOM (shahrukh) ko JERRY (BAL THACKERY) se harte hue, jhukte hue dekhkar dukh hota hai .
Reel life ka KING KHAN jb Real life me TOM ban jaye to…………. To bas karo bhaiya ab kuch likha or kaha na jaye……. Phir milenge “BREAK KE BAAD” ………. Movie bokas hai…mat jaiyo…..
(MANN)

gandhi

“GANDHI”


Hi……
Namaskar Bhai…loogggg……..
Abhi aap logo ne apun ka Ayodhya wala boaring article jhela uske liye thanks……
Par is baar apun kuchh hatke karne ko socha aur…ye lo janab a gaya apun aap logo ke samne Munna Bhai Style mein, apna ek aur article leker, Ummid hai pasand ayegea . Khair abhi aap sochenge k Munna Bhai stlyle hi kyun, ……… wo kya hai na beedu ki abhi 2 tareekh ko wo apne bapu ka Birthday tha to bhai Bapu ko yaad karna to mangta hai na….. bole to Shraddhanjali bosssss... Is bar Bapu k B’day pr apun ne ek bar phir ‘Lage Raho Munna Bhai dekh dali….
Prrr is bar ye movie dekhkar apun k bheje me ek idea roar aur shor dono karne laga k kyun na apun bhi Munna Bhai bannn jaye….. shayad apun ko bhi apna wo Bapu nazar aa jaye….. Khair Bapu ko B’day aur aap logo ko holiday ka bahut-bahut belated badhai…..
Achha to abhi apun is celebration se culti marta hai aur sidha topic pe aata hai…………
To bahi 100 take ki baat ye hai k, ye jo apna dusra Gandhi hai na……..are mamu bole to Rahul Gandhi , wo thoda sa bahak gayela hai.Waise to apna ye Yuvraj Rajneeti k tu-tu, mai-mai mein me kabhi pada nahi, par wo kya hai na mamu k abhi 2-3 roj pehle apna ye Yuvraj akkha public k samne bol dala ki R.S.S.(Rashtriya Swwayam Sewak Sangha) aur SIMI(Student Islamic Movement of India) barobar hai aur dono dharmik kattar hai. Phir kya tha mamu bawaal to hona hi tha. R.S.S. ke sare sane log apne Yuvraj par baton se hamla karne lage. are bhai baton ka kya hai ye to apne desh me hota hi rahta hai k sabko ek dusre ki taang khichne ka hi laga rahta hai, Lekin mamu ye apne Rahul bhai ki personality ko suit nahi karta aur waise bhi mamu is desh me 50 tole ki baat ko, bole to sach baat ko digest kaun kar pata hai re…., mai to Rahul bhai ko yahi kehna chahunga k tu in mamu log ke chakkar me kahe ko padta hai reeeee……. Tere me aur in safed dadhi-baal walo me bada difference hai reeeeeee..Ye mamu log ek bar kaam karke usko puri jindgibhar ginata rehta hai, par tu to aisa nahi hai na, Tu to karm me vishvas karta hai na, to chupchap apne kaam par dhyan lagane ka phir uske baad dekhna in sane logo ko jawab dene ka kam to ‘samjho ho hi gaya…….’
Lekin bhai log apun ko ek baat bolne ka hai apse, abki first time apna Yuvraj bhi galat bol gaya. Apun ye to manta hai k R.S.S. dharmic aur kattarwadi hai lekin usko SIMI ke sath compare karna sahi nahi hai reeeee. Apun ye bhi manta hai ke ye log (RSS & BJP) bhi apne Yuvraj ko kabhi Baccha, kabhi Immature to kabhi kam Bheje wala bol dalte hai, Par apne Rahul bhai ko tension nahi lena chahiye. Are ye sab darte hai apne Yuvraj se, Bechare bimar hai na mamu…….. tabhi to kabhi ‘Afjal Guru’ ko Congress ka ‘Damad’ to kabhi ‘Mulayam’ aur ‘Lalu’ ko ‘Kutta’ bolte hai, Isiliye Yuvraj ko in sab logo ke muuh nahi lagna chahiye. Inko to buss Gandhi style me hi samjhana chahiye. Kaun sa Gandhi style???????????????????
Are wooooooo Happy Singh ki tarah Phool bhejne ka aur Get Well Soon bolne wala tarika nahi reeeeeee………. Logo k liye kam karne ka aur unka dil jeet lene wala style, bole to aam admi ka hath thamkarrrrrrrrrr.
Khair abhi apun politics k deep me nahi jata hai aur aap logo ko pakana band karta hai, kyunki apun idhar ka ‘Robinhood Pandey’ to hai nahi jo ek bar commitment kar de to ‘apne aap ki bhi nahi sunta’. Are haan sunne se yaad aya aap logo ne “ANJANA ANJANI” ka ‘Tu Na Jane Aas-Paas Hai Khuda’ suna kya, nahi suna to sun le re mamu, kyunki gana Hit hai Bossssssssssss.
Chalo abhi sab bhai log saath milkar bolo……….
“…………BAAPU KI JAI…………”
MANISH (MANN)

no more action play

”NO MORE ACTION REPLAY”




“JAAN PAR KHEL JAENGE,MANDIR WAHI BANAYANGE”


Ye panktiya hai kuch ek netao ki jinhone kuch samay pehle in panktio se desh me charo or aag laga di thi.Pure desh me asthirta ka maahol taiyar ho gaya tha.Ekta or loktantra ka paryay mane jane wala akhand bharatvarsh achanak khand-khand ho gaya tha.Charo or sirf dharm or sampradayikta ki aag thi.Lekin isi aag me kuch rajnaitik partiya apni rotiya sek rahe the,unhe shayed is baat se koi sarokaar nahi tha ki is aag me kitne hindu bandhu or kitne muslim bhaiyo ke parivaar jal chuke the or kitne pal rahe the.Ek party to is mudde ko bhunane me itna safal rahi ki use satta ka such bhi prapt hua……..lekin ab nahi ,bas ab or nahi……………..


60 varsh baad ayodhya ke mandir – masjid vivaad ka aitihasik faisla aya.Sabhi ko ,sarkaar se lekar aam janta ko bhi kahi na kahi ye dart ha ki faisle ke baad sampradayik dange
Bhadak sakte hai.Jesa kid harm ke naam par pehle se hota aya hai.Parantu is baar aisa kuch nahi hua.Faisle k pehle or baad charo or shanti or sadbhavna faili hui hai.Ye shanty or sadbhavna yeh sanket deti hai ya yu kahe ki sabit karti hai ki ab hum dharm k naam par nahi ladenge.Ab waqt badal chukka hai or waqt ke sath badal chuki hai hamari soch, hamare vichaar or hamara uddeshya.
Ek baar fir hum yeh sabit karne me safal rahe hai ki “BHARAT EK AKHAND DESH HAI” or shayed yahi samay hai ki hum sabhi netao or unki raajnaitik partiyo ko bata de ki ab dharm ki
Raajneeti nahi chalegi.Yahi upyukt samay hai ki hum raajneetigyo ko do took jawab de ki desh sabse upar hai,Yadi unhe desh par shaasan karma hai to desh ke vikaas ki baat karni hogi.Unhe kisi mandir or masjid ko banane ki baat nahi balki aam admi ke liye GHAR banana ki baat karni hogi.Kattar hindu ya musalmaan nahi ek achcha insaan banne ki baat karni hogi. In sabhi netao ko yeh batana hoga ki ab hame sirf somnath se ayodhya tak kisi rathyatra ki nahi balki pashchim bangol tak, kaashmir se kanyakumari tak sirf vikaas ki leher chahiye, jisme desh ke har varg or jaati ki bhoomika sunishchit ho………
Khair is sandarbh me kafi parivartan bhi aya hai . Kai badi partiya or unke neta jo lagbhag 18 varsh pehle ye kehte the ki koi bhi kaanuni prakriya hame waha mandir banana se nahi rok sakti,vartmaan samay me wok eh rahe hai ki hum adalat ke faisle ka swaagat or sammaan karenge.Yahi nahi faisla aane ke pehle or baad bhi lagbhag sabhi netao ko ek sur me yahi kehte hue dekha gaya ki’HUM DHARMIK SAHISHNUTA BANAYE RAKHENGE’ .Parantu in raajnetao ki baato me vishwaas karma thoda kathin hai kyonki inka hamesha se hi ek ajenda raha hai ki”KAAM KI FIKRA KARO,FIKRA KA JIKRA KARO,PAR KAAM MAT KARO” . Khair job hi ho lekin yeh baat to shat-pratishat satya hai ki in raajnetao ki soch me bhi thoda bahut parivartan aya hai.

Hum sabhi ko is baat ki khushi honi chahiye ki 63 varsh ka hamara aajad bhaarat is samay aoni puri jawani par hai.Desh me 60% jansankhya yuvao ki hai jo ki vishva ke kisi bhi desh se sarvadhik hai.Arthaat kahi na kahi hum yeh bhi maan sakte hai ki anew ala samay bhaarat ka hoga or bhaarat vishva me ek mahashakti banker ubhrega, basharte hamare yuvao ko sahi disha me karya karma hoga.Yu to yuvao ko bahut bade karya karne hai, bahut bade parivartan lane hai. Parantu sabse pehle unhe desh ki raajneeti ko yeh batana hoga kid harm ke naam par desh ke saath khilvaad nahi bardasht kiya jayega.Parantu yeh baat sirf ek-do ya teen-chaar yuvao ki aawaj se nahi balki sabhi yuvao ki ek sangathit aawaj se kahi jaani chahiye ki “DESH SABSE UPAR HAI”.
Desh hamare sharer me sir (mastak) ki bhanti hai,jisko hum kabhi jhukne nahi denge.Ayodhya ke mandir –masjid ke 60 varsh ke vivaad me pure maamle ke pehle gawwah rahe hashim ansaari ne ek bahut achchi baat kahi ki”JAB SIR HI NAHI RAHEGA ,TO SAJDA KESE KARENGE”.Yeh to samajh gaye ki desh sabhi dharmo se upar hai,ab aap bhi samajh jayiye or sampurna vishva ko sandesh de dijiye ki :-“BHAARAT EK HAI”.


There is some musical bhakti for my India………….












Hum hai bharat ke waasi,humse bani bhartiyata
Sab kuch chor kar dete hum,pehle desh ko variyata
Hindu nahi,muslim nahi,na sikh na isaai
Ishwar to sabka ek hai,hum sab hai bhai-bhai
Rajneeti ne yaha dharm ki diwar hai banai
Par hum me abhi bhi hai deshbhakti samai
Na hi mandir,na hi masjid,hai khuda ka makaan
Ye hai humare andar,isse hum nahi anjaan
Jo hai bediya banate,dharm ki or jaati ki
Har jagah pakhand failate,annyay kureeti ki
Unko denge jala,hum hai lapte aise aag ki
Mita denge unhe kaliya todi jisne es bag ki
Har dua me kar rahe hai,hum yahi fariyaad
Desh apna rahe hamesha,mushkilo se aajad
Hum me hai wo taakat,jo badalti desh ki takdeer
Humse hindusta jawa, hai hum bharat ke veer
Ekta me hum bandhe hai,tod ke har janjeer
Hum bhi jante hai ye,jo hai ram wahi hai raheem…………
"MANN"............

dhundh raha hun....

Uljha rehta hunbs uljhanon me kahin ,
in uljhanon ka hal dhundh raha hun.
tik-tik karti waqt ki suiyon me ,
sukun ke do pal dhundh raha hun.
wo akhbaar wo kitab wo news channel ka shor ,
is shor me mai apna sham-o-sehar dhundh raha hun.
mummi ki ummeden papa ki dant ,
jo samjhe hmko bhi wo noor-e-nazar dhundh rha hun.
mandir ke ghante masjid ki nmaz ,
asar kar jai jo hum par wo dua dhundh raha hun.
hmesa chlta rha hun akela ,
jo hanth tham sath chale wo humsafar dhundh raha hun.
na jane hoga kb ye sb kuch hasil hme ,
isi zindgi me bs zindgi dhundh raha hun.