Saturday, February 26, 2011

GAJAB  EXAM KI AJAB KAHANI                                                                                                                                                                                                                                                                                                       
haal hi mere kuch mitron ne postoffice ke exam ke lie form dale the, unme se sirf mere do hi doston ko exam me baithne ki anumati mili, anya ko nahi. Darasal postoffice ke  exam ke lie is baar call letter sirf unhe hi mile the jinke anko ka pratishat inter me lagbagh 70% se adhik hai. Mere jin mitron ka call letter aya tha unke inter me pratishat lagbagh 74% aur 76% the.
Ye to thi ek baat ab jara dusri or dhyan de. Ye frbruary ka mahina hai. Uttar bharat me feb aur march ka mahina jara khushgwar sa hota hai, is mausam me na jyada thand hoti hai na jyada garmi, ye pyar ka mausam hai, ye basant ka mausam hai. Lekin is feb march ke mahine me ek aur mausam hota hai jo is basant ke mausam ka maza sirf fika hi nahi balki barbaad kar deta hai… ye mausam hai exam ka. Is samay 10 aur 12 k exam me bhag lene wale bachhon ki taiyari(padhai) apne charam par hoti hai. Is samay bachhe apna khana peena, khel-khud, t.v. sab kucch chhodkar apna sampurna dhyan padhai  par lagate hai, ve din raat mehnat karte hai or kare bhi q na akhir unhe har bada bhudha aj tak sirf yahi btata aya hai hai ki “ bachhe tmhara bhavishya tmhari 12 ke marks hi tai karenge qki agar marks kam aye to tu zindagi ki daud me ya to haar jayega ya bahut peeche reh jayga isliye bachhe tu bhaag bhaag aur tez bhaag…. Padh padh dher sara  padh.  Bachhe bhag bhi rahe hai or padh bhi rahe hai…. Lekin jara “uttar pradesh madhyamik siksha board” ke 12 ka examination schedule par dhyan de… U.P. ki 12 ka examination schedule ne bachhon ke bhavishya ke sath ek bhut ganda mjak kia hai. Schedule ke anusar vigyan varg ke chatron ke sath board ne thodi nirdaita dikhai hai..
                                             

SCHEDULE  ko dkhkar ye sahaj hi malum ho jata hai ki 24 MARCH SE 1 APRIL KE MADHYA LAGATAAR 8 EXAM HAI AUR INKE BEECH KEWAL 1 DIN KA HI ANTAR  HAI……

17  MARCH – MATH 1
22  MARCH  - MATH 2
24 MARCH – MATH 3
25 MARCH – HINDI 1
26 MARCH – PHYSICS 1
28 MARCH -  PHYSICS 2
29 MARCH – CHEMESTRY 1
30 MARCH – HINDI 2
31 MARCH – CHEMESTRY 2
01 APRIL – HINDI 3
04 APRIL - ART
06 APRIL – ENGLISH 1
08 APRIL – ENGLISH 2


                                                                                                                 Kya ye schedule dkhkar aisa lgta hai ki U.P. board ne In exam ko gambhirta se lia hai ?????????         
Ya to U.P. boatd ne ye karya gabhirta se nahi nkia hai ya ve iski gambhirta ko hi nahi samajhte..
Is exam ki gambhirta ke bare me us bachhe se puchiye jisne  2 varsh tak kadi tapasta ki hai, jisne in exam ki taiyariyon ke liye din ko din or raat ko raat nahi samjha, bs nirantar mehnat se padhai ki.
                              Ab vidhwan log is baat ka tark denge ki bachho ko kisi bhi exam schedulr ke lie taiyaar  rehna chahiye  kyonki akhir ve 2 saal se kar kya rahe the ??? to jara in2  baton par gaur farmaiye………..
Pehla ye ki inter k course ke bare me ye kaha jata hai ki “ smundar bhar course hota hai , balti bhar hum padh pate hai , gilas bhar  yaad hota hai aur chammach bhar exam me likh pte hai “  to is samundar jitne course me kuch cheje aiasi bhi hoti hai jinke bare me bachhe sochte hai ki exam ke ek din pehle fala cheej ko padh lenge to jyda achha  rahega.. ab aise schedudle me jab bachhe ko ek din bhi nahi milega to baccha us fala cheej ko kb yaad karega or kb baki course ko revise kareg???
  Ab dusri baat aksar exam ke ek din pehle raat me bachho ko neend nahi ati, ab chahe iska karan ghabrahat ho ya utsukta.. aise me lgataar 8 din exam ho to bachhe apni exam or neend ke beech santulan kaise bnayenge or yadi baccha neend puri nahi karenge to sahi se pdhenge kaise??????
                           Prati varsh bharat me kharab anko ya exam me fail ho jane kr karan kai bachhe atmhatya ka pryaas bhi karte hai. Kendra Sarkar bachon ko aise kadam uthane se rokne ke liye or bachhon ke mansik dbao ko kam karne ke liye GRADING SYSTEM JAISE kai sarhaniye kadam uthaye par U.P. board shayad bachho ke is mannsik dbaon ki gambhirta ko nahi samajhta…. Ais a pratit hota hai ki exa mination schedule bnane ka kaam U.P. bord ne bs jaldbaji me nipta dia hai..
    Kehne ka mtlab sirf itna hai ki bharat jaisa desh, jahan marks ki kimat yogyta or chamta se kahin adhik hai us desh me tadi aise exa mination schedule ke  karan koi bachha achhe marks na prapt kar paye to uske bhavishya ka kya hoga ???? kaise de payga wo postoffice or  marks ke adhar par call letter batne wale  exams ko ???? yahi nahi hum sambhavtah    is baat se bhi inkaar nahi kar skte ki kam marks pane ki kuntha bhi uske jeevan me ghar bana skti hai…
                      Ye sadharan baaten shayad U.P. board  me baithe padhe-likhe or anubhavi teachers ke samjh me nahi ati… ye baten bahut choti si hai par iske kai durgami or prabhavi parinaam ho skte hai.  Is schedule ke parinaam ktne gambhir ho  skte hai, ye to iunter ka har chatra smsjhta hai… kaash U.P. board or unke akaon ko bhi ye baat samagh ati to wakai ye basant bhi shuhana hota…..
Board har saal lakhon rupaye in exams par kharch karta hai, lakhon rupaye kharch karne ke baad yadi board thodi samajhdari se examination schedule bhi bna deta  to shayad is “GAJAB EXAM KI KAHANI AJAB” na hoti.                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                                       











      

No comments:

Post a Comment